Dosti Shayari ! दोस्ती शायरी ! Shayari in Hindi – Gyaani Mind

Dosti Shayari ! दोस्ती शायरी ! Shayari in Hindi – Gyaani Mind
Dosti Shayari ek bahut hi accha tareeka hai apni feelings ko apne dosto ko bataane ka. Dosti Shayari par aap apne dosto ko vo sab cheezo bataa sakte hain jo aap batana to chahte hai lekin zaahir nahi kar paate hain.
Shayari Dosti ko aur bhi gehra banaa sakti hai kyuki iski madad se aap apne emotions, apni khushi aur feelings sab kuch bayaan kar sakte hain. Ek dost ke liye shayari likhne ya sunane ka ek alag hi mazaa hai.
Agar aap apne dost ke liye shayari likhte hai to yakinan vo aapke liye khaas hi hai. Aisi hi beautiful dosti shayari aapko yaha bhi milengi jiski madad se aap apne dosto ko love shayari bhi bhej sakte hain.
Dosti Shayari
Shayari Dosti par ek khoobsurat chaap chor sakti hai, Shayari Dosti ko aur gehra bana sakti hai. Aisi hi kuch behtareen shayari bahut hi lajawaab shayar ki kalam se Gyaani Mind par jaha aapko apne yaaro par shayari milegi.
Best Dosti Shayari | Dosti Shayari in Hindi | Dosti Status in Hindi | Dost Ke Liye Shayari
गुज़रे जो अपने यारों की सोहबत में चार दिन – A. G. Joshi

गुज़रे जो अपने यारों की सोहबत में चार दिन
ऐसा लगा बसर हुए जन्नत में चार दिन
Guzre jo apne yaaro ki sohbat me char din
Aisa lagaa basar huye jannat me chaar din

उम्र-ए-ख़िज़र की उस को तमन्ना कभी न हो
इंसान जी सके जो मोहब्बत में चार दिन
Umr-e-khizar ki us ko tamanna kabhi na ho
Insaan jee sake jo mohabbat me chaar din
जब तक जिए निभाएँगे हम उन से दोस्ती
अपने रहे जो दोस्त मुसीबत में चार दिन
Jab tak jiye nibhayenge hum un se dosti
Apne rahe jo dost musibat me chaar din
ऐ जान-ए-आरज़ू वो क़यामत से कम न थे
काटे तिरे बग़ैर जो ग़ुर्बत में चार दिन
Ae jaan-e-arzoo vo qayamat se kam na the
Kaate tire bagair jo gurbat me char din
फिर उम्र भर कभी न सुकूँ पा सका ये दिल
कटने थे जो भी कट गए राहत में चार दिन
Phir umr bhar kabhi na sukoon paa sake ye dil
Katne the jo bhi kat gaye rahat me chaar din
जो फ़क़्र में सुरूर है शाही में वो कहाँ
हम भी रहे हैं नश्शा-ए-दौलत में चार दिन
Jo fark me suroor hai shahi me vo kahan
Hum bhi rahe hain nashsha-e-daulat me chaar din
उस आग ने जला के ये दिल राख कर दिया
उठते थे ‘जोश’ शोले जो वहशत में चार दिन
Us aag ne jalaa ke ye dil rakh kar diya
Uthte the ‘Josh’ shole jo vehshat me chaar din
By A. G. Josh
दोस्ती पर शायरी | Dosti Per Shayari | Dost Ke Liye Shayari
दोस्त ख़ुश होते हैं जब दोस्त का ग़म देखते हैं – Safi Aurangabadi

दोस्त ख़ुश होते हैं जब दोस्त का ग़म देखते हैं
कैसी दुनिया है इलाही जिसे हम देखते हैं
Dost khush hote hain jab dost ka gum dekhte hain
Kaisi duniya hai ilaahi jisey hum dekhte hain
देखते हैं जिसे बा-दीदा-ए-नम देखते हैं
आप के देखने वालों को भी हम देखते हैं
Dekhte hain jisey baa-deeda-e-num dekhte hain
Aap ke dekhne walon ko bhi hum dekhte hain
बे-महल अब तो सितमगर के सितम देखते हैं
कैसे-कैसों को बुरे हाल में हम देखते हैं
Be-mehel ab to sitamgar ke sitam dekhte hain
Kaise-kaison ko bure haal me hum dekhte hain
हँस के तड़पा दे मगर ग़ुस्से से सूरत न बिगाड़
ये भी मा’लूम है ज़ालिम तुझे हम देखते हैं
Hans ke tadpaa de magar gusse se surat na bigaad
Ye bhi maaloom hai zaalim tujhe hum dekhte hain
लोग क्यूँ कहते हैं तू उस को न देख उस को न देख
हम को अल्लाह दिखाता है तो हम देखते हैं
Log kyun kehte hain tu us ko na dekh us ko na dekh
Hum ko allah dikhata hai to hum dekhte hain
बाग़ की सैर न बाज़ार की तफ़रीह रही
हम तो बरसों में किसी दिन पे क़दम देखते हैं
Baag ki sair na baazar ki tafreeh rahi
Hum to barson me kisi din pe kadam dekhte hain
ला’ल हीरे सही तेरे लब-ए-दंदाँ इधर आ
तोड़ लेते तो नहीं हैं उन्हें हम देखते हैं
Laal heere sahi tere lub-e-dandaa idhar aa
Tod lete to nahin hain unhe hum dekhte hain
शल हुए दस्त-ए-तलब भूल गए हर्फ़-ए-सवाल
आज हम हौसला-ए-अहल-ए-करम देखते हैं
Shal huye dast-e-talab bhool gaye harf-e-sawaal
Aaj hum hausla-e-ehel-e-karam dekhte hain
शायरी दोस्ती पर | Shayari Dosti | Dost Ke Liye Shayari | Dosti Shayari in Hindi
मैं तमाशा सही लेकिन ये तमाशा कैसा
मुफ़्त में लोग तिरे ज़ुल्म-ओ-सितम देखते हैं
Main tamasha sahi lekin ye tamasha kaise
Muft me log tirae zulm-o-sitam dekhte hain
आप की कम-निगही हुस्न भी है ऐब भी है
लोग ऐसा भी समझते हैं कि कम देखते हैं
Aap ki kam-nigahi husn bhi hai aib bhi hai
Log aisa bhi samajhte hain ki kam dekhte hain
हम को ठुकराते चलें आप की महफ़िल में अदू
क्या उन्हें कम नज़र आता है या कम देखते हैं
Hum ko thukrate chalen aap ki mehfil me adu
Kya unhe kam nazar aata hai ya kam dekhte hain
चार लोगों के दिखाने को तो अख़्लाक़ से मिल
और कुछ भी नहीं दुनिया में भरम देखते हैं
Chaar logon ke dikhane ko to akhlaak se mil
Aur kuch bhi nahin duniya me bharam dekhte hain

मेरा होना भी न होने के बराबर है वहाँ
देखें जो लोग वजूद और अदम देखते हैं
Mera hona bhi na hone ke barabar hai wahan
Dekhen jo log vajood aur adam dekhte hain
आँख में शर्म का पानी मगर इतना भी न हो
देख उन को जो तिरी आँख को नम देखते हैं
Aankh me sharm ka paani magar itna bhi na ho
Dekh un ko jo teri aankh ko num dekhte hain
Yaaro Par Shayari | यारों पर शायरी | Dosti Shayari in Hindi
हो तो जाएगा तिरे देखने वालों में शुमार
अव्वल अव्वल ही मगर अपने को हम देखते हैं
Ho to jayega tere dekhne waalon me shumar
Avval Avval hi magar apne ko hum dekhte hain
रास्ता चलने की इक छेड़ थी तू आक़ा न आ
हम तो ये क़ौल ये वा’दा ये क़सम देखते हैं
Raasta chalne ki ik cher thi tu aaka na aa
Hum to ye kaul ye vaada ye kasam dekhte hain
देखना जुर्म हुआ ज़ुल्म हुआ क़हर हुआ
ये न देखा तुझे किस आँख से हम देखते हैं
Dekhna jurm hua zulm hua keher hua
Ye na dekha tujhe kis aankh se hum dekhte hain
आँख उन की है दिल उन का है कलेजा उन का
रात-दिन जो मुझे बा-दीदा-ए-नम देखते हैं
Aankh un ki hai dil un ka hai kaleja un ka
Raat-din jo mujhe baa-deeda-ae-num dekhte hain
अपना रोना भी ‘सफ़ी’ रास न आया हम को
उस को शिकवा है कि आँखें तिरी नम देखते हैं
Apna rona bhi ‘safi’ raas na aaya hum ko
Us ko shikwa hai ki aankhen teri num dekhte hain
Safi Aurangabadi
Dosti Ki Shayari | दोस्त की शायरी | Dost Ke Liye Shayari
Indira Verma – दोस्त जब ज़ी-वक़ार होता है

दोस्त जब ज़ी-वक़ार होता है
दोस्ती का मेयार होता है
Dost jab zee-vakaar hota hai
Dosti ka meyar hota hai
अब तसव्वुर की सूनी वादी में
रोज़ जश्न-ए-बहार होता है
Ab tasavvur ki sooni vaadi mein
Roz jashn-ae-bahaar hota hai
गुलशन-ए-जाँ में उन के आने से
गुल-सिफ़त कारोबार होता है
Gulshan-ae-jaan mein un ke aane se
Gul-sifat karobar hota hai

जब बिछड़ जाता है कोई अपना
ग़म ही बस रोज़गार होता है
Jab bichad jaata hai koi apna
Gum hi bas rozgaar hota hai
चाँद का रक़्स हो रहा है कहीं
दिल यहाँ से निसार होता है
Chaand ka raks ho raha hai kahin
Dil yahan se nisaar hota hai
शाख़-दर-शाख़ होती है ज़ख़्मी
जब परिंदा शिकार होता है
Shaakh-dar-shaakh hoti hai zakhmi
Jab parinda shikaar hota hai
(Content Source: Rekhta)